MP3Songs (78666)
MovieMovies (2677)
AlbumAlbums (6989)
SingerSingers (3246)

, ,
, , ,

Right Click -> Save Target As -> Download Now

Comments for: Zulmat Kade Mein Mere.
Lyrics: Zulmat Kade Mein Mere
1. Zulmat_kade Mein Mere Shab-e-gham Ka Josh Hai
Ik Shamma'a Hai Daleel-e-sahar, So Khamosh Hai
[ Zulmat = Darkness, Daleele = Proof, Sahar = Morning ]
2. Nai Muzda-e-wisaal Na Nazzaara-e-jamaal
Muddat Huee Ki Aashtee-e-chashm-o-gosh Hai
[ Muzda = Good News, Wisaal = Meeting, Nazzaara-e-jamaal = Seeing
A Beautiful Face, Aashtee = Harmony/friendship/peace, Chashm = Eye,
Gosh = Ear ]
3. Mai Ne Kiya Hai, Husn-e-khud_aara Ko Be_hijaab
'ai Shauq, Yaan Ijaazat-e-tasleem-e-hosh Hai
[ Mai = Bar, Khud_aara = Self Adorer, Hijaab = Veil,
Tasleem = Greeting ]
4. Gauhar Ko Ikd-e-gardan-e-khubaan Mein Dekhna
Kya Auj Par Sitaara-e-gauhar_farosh Hai
[ Gauhar = Pearl/gem, Ikd-e-gardan = Necklace, Khubaan = A Beautiful
Person/sweetheart, Auj = Highest Point/summit, Farosh = Merchant ]
5. Deedaar, Waada, Hausla, Saaqee, Nigaah-e-mast
Bazm-e-khayaal Maikada-e-be_kharosh Hai
[ Deedaar = Appearance, Be_kharosh = Quite/dead ]
6. 'ei Taaza Waaridan-e-bisaat-e-hawa-e-dil
Zinhaar Gar Tumhain Hawas-e-na-o-nosh Hai
[ Waaridan = Arrivals, Bisaat = Chess, Hawa = Desire/greed,
Zinhaar = Be Warned !, Hawas = Lust/greed, Na-o-nosh = Feasting/
Drinking ]
7. Dekho Mujhe Jo Deeda-e-ibrat_nigaah Ho
Meree Suno Jo Gosh-e-naseehat_niyosh Hai
[ Deedaa= Sight, Ibrat = Admonition, Gosh = Ear, Naseehat = Advice,
Niyosh = Listener ]
8. Saaqee Ba_jalwa Dushman-e-imaan-o-aagahee
Mutrib Ba_naghma Rahzan-e-tamkeen-o-hosh Hai
[ Aagahee = Wisdom, Mutrib = Singer, Rahazan = Robber,
Tamkeen = Authority/power ]
9. Ya Shab Ko Dekhte The; Ki Har Gosha-e-bisaat
Daamaan-e-baaghbaan-o-kaf-e-gul_farosh Hai
[ Gosha = Corner, Baaghbaan = Gradener, Kaf = Sleeve,
Gul_farosh = Florist ]
10. Lutf-e-khiraam-e-saaqee-o-zauq-e-sada-e-chang
Yeh Jannat-e-nigaah Woh Firdaus-e-gosh Hai
[ Khiraam = Speed, Zauq = Taste, Sada = Sound, Chang = Lute,
Firdaus = Paradise, Gosh = Ear ]
11. Ya Subh Dam Jo Dekhiye Aakar To Bazm Mein
Nai Woh Suroor-o-soz Na Josh-o-kharosh Hai
[ Suroor = Pleasure, Soz = Passion/heat ]
12. Daagh-e-firaaq-e-sohabat-e-shab Kee Jalee Hooee
Ik Shamma`a Reh Gaee Hai So Wo Bhee Khamosh Hai
[ Firaaq = Separation, Sohabat = Company ]
13. Aate Hain Ghaib Se Ye Mazaameen Khayaal Mein
'ghalib', Sareer-e-khaama Nawa-e-sarosh Hai

Ahh Ko Chahiye

, ,
, , ,


Bas Ek Dushwaar Hai

, ,
, , ,


Bazeecha-e-Atfal Hai

, ,
, , ,


Dil Hi To Hai - Part -I

, ,
, , ,


Dil Hi To Hai - Part -II

, ,
, , ,


Dil-e-Nadaan Tujhe Hua Kya

, ,
, , ,


Hazaron Khawahishein Aisi

, ,
, , ,


Kabse Hoon Kya Bataon

, ,
, , ,


Na Tha Kuch To Khuda Tha

, ,
, , ,


Phir Kuchh Is Dil Ko Beqarari Hai

, ,
, , ,


Sab Kahan Kuchh Lala-O-Gul

, ,
, , ,


Unke Dekhe Se

, ,
, , ,


Wo Firaq Aur Wo Visal Kahan

, ,
, , ,


Ye Na Thi Hamari Qismat - Part I

, ,
, , ,


Ye Na Thi Hamari Qismat - Part II

, ,
, , ,


Zulmat Kade Mein Mere

, ,
, , ,



Copyrights Love2Pak Inc. Since 1990 - All rights are reserved.